Teri ankho me ab b mujhko, meri tasveer nazar aati hai

Teri ankho me ab b mujhko, meri tasveer nazar aati hai
mere dilko jaisi jakde, yaado ki zanjeer nazar aati hai
paane ko paa leta uska pyar, mai is duniya k badle mein
per mujhse roothi khud meri kyun takdeer nazar aati hai
teri ankho me….

Image

ab bhi mujhe apni mohabbat pe aitbaar hai bahut
tere dil se meri dhadkanon ko milta sarokar hai bahut
bewaje nahi beh jaata hu mai teri yadon k bhawar me
bechain nigah ko teri surat me milta karaar hai bahut
aksar is khayal se meri kyu aankhein bhar bhar jaati hai
teri ankho me….

Image
akhir kab tak teri baaton me khoya rahunga mai
tere Khab me besudh hoke akhir kab tak soya rahunga mai
jab ye janta hu tu ab meri duniya me nahi haasil
tere hone k ehsaas ki chadar kab tab odhey rahunga mai
teri di saugatein ishk ki dil me teer si chubti jaati hai
teri ankho me…

Apne Jeevan Mein Hai Kya Paaya

Apne jeevan  me hai  kya paaya,  kya takdeer likha k laaye hai

Anjaan  dagar pe, andhere ghamo k kaale gehre saaaye hai

Lamba rasta sunsaan dagar hai, ye kya takdeer se paaye hain

Suraj dhalte hi armaan ye dil k, hame kis chor le aaye hain

 

Suhana sa tha wo mausam, aur khushmizaaz  thi bahar bhi

Mere apne bhi mere sath they , aur sath tha mere pyar bhi

Jaane kis mod pe chutey wo apne, ab soona lage sansaar bhi

Kuch kadmo se bichad gaye,  fir mera sab sathi aur pyaar bhi

Ek humsafar hai tanhai meri, aur hamnawa ye mere saaye hai…

Apne jeevan  me hai  kya paaya ……

 

Tufan jo aakey chala gaya, mera ghar baar mita k chala gaya

Aanjani manzil ka hamko,  wo chupke se pata bata k chala gaya

Kuch boondein thi mere palko me, kyu  unhe  bahake chala gaya

Hai jeena mushkil , marna namumkin ye hame bata k chala gaya

haath wakt ka thaam k , dekho , ye hum kis mod pe aaye hain

Apne jeevan  me hai  kya paaya …..

Meri ankhon me thodi nami reh gayi….

When i lost my first love i felt to write my feeling in form of poem which written best of my thoughts. When someone nearone is lost you get so lone that it seems life get to finish. There remains no aims, no dreams, just a big path to be covered lonely. You wish to say something but you can’t because you know now there is no one to hear you. The fate snatch everything in form of the dearest one, with whom you lived life till now and planned so many things for future. When you are not taking action because of yourself but you need to act for others goodwill then obviously some pain hits you own feelings. You stop living life at the moment when your beloved is invisible to you, you could not find the shoulder to cry on, joys to share with and care yourself for someone special. This poem very easliy describe all this emotion in very nice way.

Meri ankhon mein thodi nami reh gayi
Zindagi mein bus teri kami reh gayi

They jo armaan dil ke tabaah ho gaye
Dekhe they jo sapne fanaa ho gaye
Ek hasrat thi meri tujhe paane ki
Ye hasrat bhi ashkon k sang beh gayi
Meri ankhon………..

Khile phool dil jo tere naam ke
Jo choona unhe chaha bhala jaan ke
Phool murjha gaye Kaante hi reh gaye
Khel takdeer ka dekh meri ruh keh gayi
Meri ankhon…………

Aisa khanjar jamane se humko mila,
Khoon behta raha dil bhi chalta raha
Hum dono mein thodi doori reh gayi
Ab to mayoos jeevan aur majboori reh gayi
Meri aankhon…………..